Showing posts with label Nazm. Show all posts
Showing posts with label Nazm. Show all posts

Sunday, June 9, 2013

Kahi Un Kahi, کہی ان کہی : (Urdu/تبصرہ); Author: Syed Asif Dasnavi; Reviewer: Deepak Budki

Kahi Un Kahi,کہی ان کہی (Urdu/تبصرہ )
Author: Syed Asif Dasnavi;Reviewer: Deepak Budki


Wednesday, July 25, 2012

Ay Mere Bhisham Pitamah, اے میرے بھیشم پتامہ : (Urdu/English); Shayri; Poetry; نظم

Ay Mere Bhisham Pitamah


اے میرے بھیشم پتامہ (Urdu/English)


Shayri; Poetry;نظم 


Tum ne mujh se kyun yeh poocha,
Mera Kishley* kahan hai?
Mujh ko tab se neend na aayi, 
Karwat karwat badal raha hoon,
Dil be chain hai,ankhein pur num,
Fiza bhi hai bhari bhari;
Kahan kahan na dhoondha us ko,
Galiyon galiyon basti basti,
Sehra jungle mandir masjid,
Gujrat ki bakery mein bhi jhanka,
Shayad jal kar raakh hua ho;
Ya phir Masjid ke gumband par,
Babar ko lalkar raha ho;
Kabul aur Qandhar main pahuncha,
Hosakta Yargamal hua ho;
Kargil pahuncha Drass main pahuncha,
Taboot mein shayad mara padha ho;
Phir ja kar kashmir mein dhoondha,
Be katba Qabron mein daba ho;
Lahore ki bus mein dhoondha,shayad,
Aman ka parcham le ke khada ho;
Haath abhi tak kuch bhi na aaya,
Aas magar phir bhi hai baaqi.
Phir ik din yun soch raha tha,
Kursi par tum bhi the baithe,
Panch saal kuch kum nahin hote;
Kitne Kishle apharan hue the,
Kitnon ki li gayi  supari,
Kitnon ka yun laho baha tha;
Tum us waqt bus dekh rahe the,
Bebus aur lachaar khade the,
Bhisham Pitamah khade ho jaise;
Wohi tha manzar , log wohi the,
Cheer haran ho raha tha jis ka,
Us ko Ghaur se dekha main ne,
Shayad Draupadi naam tha us ka.
___________________________________________________________________________________-
*Kishle was the name of the boy who was abducted in Bihar and Vajpayee had cried out in Patna, Where is my Kishle?





Saturday, December 10, 2011

Woh Kahani Bhool Ja وہ کہانی بھول جا : (Urdu/English); Shayri; ; Poetryشاعری

Woh Kahani Bhool Ja:وہ کہانی بھول جا 
 Shayri; شاعری ; Poetry

وہ کہانی بھول جا 

وہ جوانی تھی سہانی ، وہ کہانی بھول جا 
لگ رہی تھی جاودانی وہ کہانی بھول جا
زیست کا ہر ایک دریا ان دنوں تھا موجزن 
 تھی کبھی اس میں روانی،وہ کہانی بھول جا 
پورنما کا چاند اوپر ، تھی کھڑی وہ بام پر 
اف !مہکتی رات رانی ، وہ کہانی بھول جا 
پڑ رہی تھی ماہ نو کی ہلکی ہلکی چاندنی 
ہو رہی تھی گلفشانی ، وہ کہانی بھول جا 
مے بھی تھی،مینا بھی تھی،ساقی بھی تھا،ساغربھی تھا 
موجزن تھی زندگانی ، وہ کہانی بھول جا 
جب کبھی بھی  مسکراتی ، پھول برساتی تھی وہ
اور پھر وہ بدگمانی، وہ کہانی بھول جا 
وہ جھجھکنا ، وہ چمٹنا ، وہ لپٹنا یار کا 
اب تو لگتی ہے کہانی ، وہ کہانی بھول جا 
راہ وہ بھی تک رہی تھی،تھا ہمیں بھی انتظار 
فرقت شب کی گرانی، وہ کہانی بھول جا 
ہوں خزاں کا شجر میں ، گل نہیں پتے نہیں 
آہ بلاے ناگہانی ، وو کہانی بھول جا   

Woh Kahani Bhool Ja

Woh   jawani   thi   suhani  ,  woh   kahani   bhool  ja 
Lag rahi thi javidani,woh kahani bhool ja.
Zeest ka har   aik  darya  un   dinon  tha   maujzan 
Thi kabhi us mein ravani,woh kahani bhool ja.
Purnima  ka  chand  upar , thi  khadi  woh  baam  par 
Uf ! Mehkti  raat  raani,woh kahani bhool ja.
Parh  rahi  thi  mah-e -nau  ki  halki   halki chandni 
Ho rahi  thi gulfashani, woh kahani bhool ja.
Mai bhi thi,meena bhi thi, Saqi bhi tha,Sagar bhi tha  
Maujzan thi zindgani ,woh kahani bhool ja.
Jab kabhi  bhi  muskarati, phool  barsati  thi woh   
Aur phir woh badghumani,woh kahani bhool ja.
Woh jhijhkna, woh chimatna, woh  liptna yaar ka  
Ab to  lagti  hai  kahani ,woh kahani bhool ja.
Rah woh  bhi  tak  rahi  thi, tha  hamein bhi  intezar   
Furqat-e-shab ki girani, woh kahani bhool ja.
Hoon khizan ka shajr main, gul nahin patte nahi   
Ah bala-e-naghani, woh kahani bhool ja.