Saturday, February 11, 2012

Barson Pehle, برسوں پہلے : (Urdu/English); Nazm; نظم ; Poem

Barson Pehle, برسوں پہلے :
(Urdu/English)
Nazm; نظم ; Poem 


24 comments:

  1. नज़्म शानदार है ....बधाई ....
    इक छोटी अर्जी है दादा .....फोन्ट थोड़े से बड़े कर दीजिये |

    ReplyDelete
    Replies
    1. Font ko zoom (barha) karne ke liye aap ke computer ke Upper right hand side corner mein bane spanner ko click karein aur zoom ki percentage barhayein ya phir control++ kar lein, font barha ho jaye ga.. comments ke liye shukriya.

      Delete
  2. بہت خوب جناب بدکی صاحب
    عمدہ نظم ہے
    آپ نے کچھ مناظر کو بڑی خوبصورتی سے الفاظ کا پیکر دیا ہے
    بہت عمدہ

    ReplyDelete
  3. Mohtaram budki sahab..........!
    aaj tak maine sirf aapki nasri jaulaainiya'n hi dekhi thi'n, aaj pehli martaba aapki nazm parhi, mozu, technic, usloob, zuban-o-bayan har etbaar se ye 1 shaahkaar nazm hai, ye nazm apne irteqaa se aakhir tak sehar-andaaz bayaniya ki mazhar hai, climex tak aate aate nazm apni daad khud wasool karne ki salaahiyat rakhti hai.
    is behtareen nazm k liye aapki qalmi raf'ato'n ko salaam karta hun.
    .......FIDA

    ReplyDelete
    Replies
    1. Thank you for your appreciation of my Poem. In fact I only pen down my thoughts in poetic form when I find that prose cannot do justice to my specific thoughts.Still however my first love remains prose only.

      Delete
  4. so beautiful poem.. आपके हर शब्द पत्थर दिल को भी जीवंत कर देते हैं

    ReplyDelete
  5. Budki Sahib........!
    Apki is nazm ko par kar
    aisa mahsoos hota he jaise
    kuch dinon ke bad
    Aapki Afsana nigari par
    Aapki nazm nigari
    Ghalib Ajayegi (agar nazm par
    qarare wqa'e multafit rahe)
    goke Aapki pechaan aik afsana
    nigar ki hesiyat se he,magar
    (is nazm ko par kar)
    aisa maloom hotahe jase
    Aapke sene main aik
    Afsana nigar se ziyada
    aik Sha'ir ka Dil Dhraktahe.
    Aapki ye nazm is mozu par
    harfe Aakhir he.
    aisi benazeer nazm pesh
    karne kiliye mubarakbad qabool
    farmayen.Allah kare zore qalam aur ziyada.
    AAMEEN

    ReplyDelete
    Replies
    1. Qasim Bin Zaheer Sahab Yeh aap ki muhabatein hain jo bahut kuch likh gayein Warna to hum apne aap ko is qabil nahi samajhte. Kabhi kabhi dil nazm kehne ke liye beqarar ho jaata hai to likh leta hoon.

      Delete
  6. Bahut hi achha! Maasha-Alah dil ko chooney waali nashtar chalaa leytey ho.
    Yehin Kahein Aap aur Hum bhi kabhi miley they,
    Khuda ki bairukhi se nawaakif kaise bichdey hum,
    Na tum jaano na hum jaaney.

    God Bless.

    ReplyDelete
    Replies
    1. Shukriya handoovijay Sb Aap ka comment spam file mein chala gaya tha. Aaj hi pata chala.Bahut bahut shukriya.

      Delete
  7. Bahut Khoob. Maasha-Alah badhey hi andaaz main teerey nashter chalatey hain aap. Andaazey bayan aap ka dil cheerta hai.

    Yahein kahein hum Aap se miley they kabhi,
    Na jaaney kis moad pey bichad gaye hum kahein,
    Kudrat ki Bairukhi se baikhabar,bikhar gaye hum kis kadar,
    Na tum jaano na hum jaaney.

    God Bless!

    ReplyDelete
    Replies
    1. handoovijay ji bahut bahut shukriya. Aap ki muhabatein saath rahien to hum aasmanon par bhi kamand phaink sakte hain.

      Delete
    2. Ooper ki pangthiyan mere pehli koshish thi. Aap ki islah nawazish hogi.

      Delete
    3. handoovijay : Bhai hum to abhi tifl-e-maktab thehre , hum kahan isalh de payein ge. Haan apne DAV school ke ustad SNKachroo ke alfaz duhrate hain;"Write and read it over and over again , u will urself find where it needs to be corrected".Nothing is better than self evaluation and self criticism. Aur main aaj tak is naseehat ki tameel karta hoon.

      Delete
  8. Wah... Wah kya khoob nazam kahi hai Bhai.Bimal Misri

    ReplyDelete
    Replies
    1. Bimal Misri Pasandeedgi ke liye bahut bahut shukriya.

      Delete
  9. Infact I was not able to connect to your blog earlier. Today I have been helped to do that and here I am
    Bimal

    ReplyDelete
    Replies
    1. Bimal Misri ji Thanks for ur interest in the blog. U may become a member of the blog to receive the posts automatically in future.

      Delete