aadaab budki saaheb...! kal twitter par aap ki is kahaani ka link dekha tha, lekin kahaani parh nahi saka tha, aur bina takhleeq parhe comment karne ko mai'n adabi bad'diyaanti gardaanta hu'n, aaj gmail account se aapki ye kahaani parhne ka moqa mila, bahut umda kahaani buni hai aap ne, aurat ki nafsiyaat k is pehlu ko jaan kar hairaani hui, lekin ye bhi sach hai k mohabbat ko dekhne , samajhne aur mehsoos karne ka har insaan ka alag-alag nazarya hai. aapki kahaani parh kar mehsoos hota hai k insaani nafsiyaat par aap ki ameeq nazar hai. qalbi mubaarakbaad qubool farmaae'n.
Waseem Ahmad Fida; Bhai, Nafsiyat chahe mard ki ho ya aurat ki , hamesha chaunka deti hai. Insaani rawaye (Human behaviour) ko kisi meezan se tola nahi jaa sakta hai. Har shaks zindagi ka apna aik nazariya rakhta hai jo uski hayatyati wirasat (genetic make up) ke allawa mahauli ta'amul ka nateeja hota hai.Aise kirdar to hamare aamne saamne hote hain magar hum unhein satahi nazar se dekhte rehte hain aur aksar nazar andaz karte hain.Khair aap ke tasurat parh kar dil khush hota hai kyunki aaj kal adab ke sanjeeda qari bahut kum milte hain.Aik baar phir Shukriya qabool kar lijiye.
aadaab budki saaheb...! kal twitter par aap ki is kahaani ka link dekha tha, lekin kahaani parh nahi saka tha, aur bina takhleeq parhe comment karne ko mai'n adabi bad'diyaanti gardaanta hu'n, aaj gmail account se aapki ye kahaani parhne ka moqa mila,
ReplyDeletebahut umda kahaani buni hai aap ne, aurat ki nafsiyaat k is pehlu ko jaan kar hairaani hui, lekin ye bhi sach hai k mohabbat ko dekhne , samajhne aur mehsoos karne ka har insaan ka alag-alag nazarya hai.
aapki kahaani parh kar mehsoos hota hai k insaani nafsiyaat par aap ki ameeq nazar hai.
qalbi mubaarakbaad qubool farmaae'n.
........... FIDA
Waseem Ahmad Fida; Bhai, Nafsiyat chahe mard ki ho ya aurat ki , hamesha chaunka deti hai. Insaani rawaye (Human behaviour) ko kisi meezan se tola nahi jaa sakta hai. Har shaks zindagi ka apna aik nazariya rakhta hai jo uski hayatyati wirasat (genetic make up) ke allawa mahauli ta'amul ka nateeja hota hai.Aise kirdar to hamare aamne saamne hote hain magar hum unhein satahi nazar se dekhte rehte hain aur aksar nazar andaz karte hain.Khair aap ke tasurat parh kar dil khush hota hai kyunki aaj kal adab ke sanjeeda qari bahut kum milte hain.Aik baar phir Shukriya qabool kar lijiye.
Deleteبہت عمدہ کہانی ہے۔ انسانی نفسیات کی خوبصورت عکاسی ۔۔۔ گوکہ یہ عام انسانی نفسیات نہیں مگر بہرحال تخلیقیت استثنائی واقعات ہی کو تو موضوع بناتی ہے۔
ReplyDeleteYeh kahani haqeeqi waqa'at par mabni hai. Chinachi aam taur par aisa mumkin nahi hai is liye psychological aberration hai.
Delete