aadaab Budki saheb! THANDI AAG parhi, achchhi kahaani hai , kahaani ko parhte hue kahi'n-kahi'n aisa laga jaise SHAAISTA FAAKHRI ko parh raha hu'n , un k aksar afsaano'n me'n jinsiyat ki halki-halki tapish hoti hai. is kahaani k liye aap ko mubaarakbaad........!!
Waseem Ahmad Fida. Bhai jab mauzo hi jinsi hai to jinsi lafziyat ka istemal karna hi parhe ga.Shaaista Fakhri ko main ne parha nahi hai, albata aap ne khwahish jaga di hai. Ho sake to un ki chand aik kahaniyan FB par upload karke mujhe tag kardein. Mamnoon rahoon ga. Albata itna zaroor hai ki Manto se main bahut mutasir raha hoon.Woh to Jail aur qanooni karwayi se tang aakar us daur mein alfaz ke istemal par phoonk phoonk kar qadm rakhte the, magar ab to zamana kahan se kahan pahunch gaya hai to phir hum alfaz ke istemal main bakhaili kyun karein.
aadaab Budki saheb....! Manto k hawaale se aap ne jo guftugu ki hai us se me'n kulli taur par muttafiq hu'n , aap ne sahi kaha hai k aisi kahaaniyo'n k liye human behavior jaanchna aur character study behad zaroori hai
SHAAISTA FAKHRI k afsano'n se muta'lliq mai'n aap k hukm ki taameel zaroor karta lekin fil-waqt mere paas un ka koi afsaana nahi hai, rasaail me'n hi un k kuchh afsaane parhe hai'n , koshish karoo'nga k talaash kar k scane copies facebook par upload karu'n...... is kahaani k liye 1 martaba phir ap ko mubaaakbaad pesh karta hu'n.
Waseem Ahmed Fida Sb. Bahut bahut Shukriya. Main ne kai afsana nigaron, jo jinsi nafsiyat par kahaniyan likhte rahe, parha hai jaise Manto, Ismat, Aziz Ahmad, Jitendar Billo M Nag magar Shaaista Fakhri ko nahi parha hai. Jab bhi un ki ek do kahaniyan milein to email kar dein ya FB par upload kar dein. Jaldi ki koi baat nahi hai. Freudian theory aane ke baad aise mauzoaat par likhna aik fashion sa ban gaya tha. Kayi writers kitabon se jinsi nafsiyat ki istilaat parh kar un par qalm uthate the magar Manto ki khasiyat yeh thai ki woh in kajraviyon ka khud mushahida karte the aur us ke baad hi un par qalm uthate the.
Deepak Sahib..............Mubarak Ho............."Thandi Aag" Padhi.....................Bila Shubaa Aap Ki Kahaniyon Me Zindagi Bolti Mehsoos Hoti Hai..........Qaari Ne Kiradaron Ke Saath Saath Kahani Kaar Ko Bhi Khud Me Zam Hota Mehsoos Karna Chahiye.............Mere Nazdeek Sirf Aisi Hi Kahaniyaan Qaabil E Aitnaa Taherti Hain...........Aur Ba Khuda Aap Ki Kahaniyon Me Ye Unsar Baa Nafs E Nafess Maujood Hai........."Tere Junoo Ka Khuda Silsila Draz Kare".........
URDU QUARTERLY Shukr guzar hoon ki aap ne itni diqqaton ke baad bhi apne tasurat mere blog mein darj kar liye.Aisi kahaniyon mein character-study bahut hi aham hota hai aur is mein kahin bhi koi chook ho jaye to kahani kahani nahi rehti.Insani rawaye (Human behaviour) ko janchna aur parakhna bahut mushkil kaam hai kyunki yeh hamesha badalta rehta hai. Tahum kuch traits aise hote hain ki mustaql chap chod jaate hain.
aadaab Budki saheb! THANDI AAG parhi, achchhi kahaani hai , kahaani ko parhte hue kahi'n-kahi'n aisa laga jaise SHAAISTA FAAKHRI ko parh raha hu'n , un k aksar afsaano'n me'n jinsiyat ki halki-halki tapish hoti hai.
ReplyDeleteis kahaani k liye aap ko mubaarakbaad........!!
............ FIDA
Waseem Ahmad Fida. Bhai jab mauzo hi jinsi hai to jinsi lafziyat ka istemal karna hi parhe ga.Shaaista Fakhri ko main ne parha nahi hai, albata aap ne khwahish jaga di hai. Ho sake to un ki chand aik kahaniyan FB par upload karke mujhe tag kardein. Mamnoon rahoon ga. Albata itna zaroor hai ki Manto se main bahut mutasir raha hoon.Woh to Jail aur qanooni karwayi se tang aakar us daur mein alfaz ke istemal par phoonk phoonk kar qadm rakhte the, magar ab to zamana kahan se kahan pahunch gaya hai to phir hum alfaz ke istemal main bakhaili kyun karein.
Deleteaadaab Budki saheb....! Manto k hawaale se aap ne jo guftugu ki hai us se me'n kulli taur par muttafiq hu'n ,
Deleteaap ne sahi kaha hai k aisi kahaaniyo'n k liye human behavior jaanchna aur character study behad zaroori hai
SHAAISTA FAKHRI k afsano'n se muta'lliq mai'n aap k hukm ki taameel zaroor karta lekin fil-waqt mere paas un ka koi afsaana nahi hai, rasaail me'n hi un k kuchh afsaane parhe hai'n , koshish karoo'nga k talaash kar k scane copies facebook par upload karu'n......
is kahaani k liye 1 martaba phir ap ko mubaaakbaad pesh karta hu'n.
......FIDA
Waseem Ahmed Fida Sb. Bahut bahut Shukriya. Main ne kai afsana nigaron, jo jinsi nafsiyat par kahaniyan likhte rahe, parha hai jaise Manto, Ismat, Aziz Ahmad, Jitendar Billo M Nag magar Shaaista Fakhri ko nahi parha hai. Jab bhi un ki ek do kahaniyan milein to email kar dein ya FB par upload kar dein. Jaldi ki koi baat nahi hai. Freudian theory aane ke baad aise mauzoaat par likhna aik fashion sa ban gaya tha. Kayi writers kitabon se jinsi nafsiyat ki istilaat parh kar un par qalm uthate the magar Manto ki khasiyat yeh thai ki woh in kajraviyon ka khud mushahida karte the aur us ke baad hi un par qalm uthate the.
DeleteDeepak Sahib..............Mubarak Ho............."Thandi Aag" Padhi.....................Bila Shubaa Aap Ki Kahaniyon Me Zindagi Bolti Mehsoos Hoti Hai..........Qaari Ne Kiradaron Ke Saath Saath Kahani Kaar Ko Bhi Khud Me Zam Hota Mehsoos Karna Chahiye.............Mere Nazdeek Sirf Aisi Hi Kahaniyaan Qaabil E Aitnaa Taherti Hain...........Aur Ba Khuda Aap Ki Kahaniyon Me Ye Unsar Baa Nafs E Nafess Maujood Hai........."Tere Junoo Ka Khuda Silsila Draz Kare".........
ReplyDeleteURDU QUARTERLY Shukr guzar hoon ki aap ne itni diqqaton ke baad bhi apne tasurat mere blog mein darj kar liye.Aisi kahaniyon mein character-study bahut hi aham hota hai aur is mein kahin bhi koi chook ho jaye to kahani kahani nahi rehti.Insani rawaye (Human behaviour) ko janchna aur parakhna bahut mushkil kaam hai kyunki yeh hamesha badalta rehta hai. Tahum kuch traits aise hote hain ki mustaql chap chod jaate hain.
DeleteThis comment has been removed by a blog administrator.
ReplyDelete