Mamnou Raasta : ممنوع راستہ
Afsancha; افسانچہ ; Ministory
Mamnou Raasta
Ghar se daftar jaane ke liye sirf do hi raaste the. Aik daamar bichi sadak ka raasta---lamba aur ukta dene wala.Us par hamesha bahut traffic rehta tha. Aur doosra---Government Silk factory ke beechon beech jata hua, jis ke aaghaz aur ikhtitaam par do aahani gate the. Yeh gate Subh aath baje se shaam saat baje tak factory ke mazdooron ke liye khule rehte the.Gate par aik barhi takhti latki rehti thi.
"Yeh shahrae aam nahi hai. Khilafwarzi karne walon par qanooni chara joi ki jaaaye gi."
Main har roz isi raaste se office jaata tha. Gate par latka hua notice board dekhta, parhta aur usse nazar andaz karke aage barh jaata.
Notice board aaj tak apni jagah par latak raha hai.
*******************
(mamnou raasta-forbidden road,damar- coaltar, ukta-boring,aaghaz/ikhtetam-beginning and end,aahani-iron, shaarae aam-Thoroughfare, nazarandaz-overlook)