Such Ki Talash & Neki:سچ کی تلاش اور نیکی
Afsancha; افسانچہ ; Ministory
Such ki Talash
Tum samajhte ho ki tumhare hath mein jo saheefa hai woh aakhri such hai.
Main samajhta hun ki mere mushif se barha such aur koi nahi.
Tumhare such aur mere such ke darmiyan kitna tazaad hai.
Main samajhta hun ki mere mushif se barha such aur koi nahi.
Tumhare such aur mere such ke darmiyan kitna tazaad hai.
***
(saheefa/mushif-Holy scripture; Tazaad-difference)
(saheefa/mushif-Holy scripture; Tazaad-difference)
Neki
Neki kar darya mein daal.
Neki do qism ki hoti hai.
Adh mare zahreele saanp ko doodh pila kar phir se tandrust-o- tawaana bana de. Woh kabhi na kabhi is ka ajar zaroor dega.Bhale ki umeed mat rakhna kyunki yeh uski khislat mein shamil hai hi nahi. Albata bahut mumkin hai ki woh mustaqbil mein tumhare baal bachon ko zaroor dus lega.
Doosre qism ki neki bhi hoti hai. Saanp ko kuchal kar apne baal bachon ko bacha le.
*****
(tawaana-strong; Ajar-repay,reward; khislat-nature;mustaqbil-future)
No comments:
Post a Comment