Thursday, December 1, 2011

Jurm جرم, : (Urdu/English); Afsancha ; افسانچہ ; Ministory.

 Jurm; جرم  
Afsancha; افسانچہ ; Ministory.



























Jurm

Park ke bench par baitha aik Padri ghair Isai ko duniya ke zahoor ki kahani samjhate hue keh raha tha ki Adam ke do bete paida hue the. Habel aur Qabel. Charwaha Habel barha hi aabid aur ita'at pasand tha jabki dehqaan Qabel badtainat aur jaraim pasand tha. Chinachi Ishwar ne Habel ki qurbani pasand ki, is liye Qabel ne gusse mein aakar Habel ko maar dala. Magar is ke baad woh logon ke jazba-e-inteqam se khauf zada ho gaya aur Ishwar se prarthana karne laga ki usko ma'af karde. Ishwar ne us ki jaan baksh di.

"Is ka yeh matlab nikla ki hum sab us jarayim pesha Qabel ki aulad hain." Samaeh pooch baitha.

Paas hi doosre bench par baitha hua aik dehariya man hi man main soch raha tha ki Ishwar bhi ajeeb shai hai. Bechare nihate Habel ke qatl ke samay mahz tamashayi bana raha aur phir jab mujrim se badla lene ki baari aa gayi to us ko apni hikmat-e-amli se saaf bacha liya.
                                                    ***

(Habel-Abel,Qabel-Cain,Aabid aur ita'at pasand-faithful,dehqan-farmer,badtainat-vicious,jazbaeinteqam-wrath,samaeh-listener,dehariya-atheist,shai-thing,hikmateamli-policy)


8 comments:

  1. So nice of Mr.Deepak Budki ji
    Good luck

    ReplyDelete
    Replies
    1. Sorry for delayed reply @MILCHAR. Thanks a lot. Plz visit my other blog on Kashmir budkis3dview.wordpress.com. You may like to become member of both, this and the other one.

      Delete
  2. Replies
    1. pervez bilgrami thanks for your comments. sorry for the delay.

      Delete
  3. Bahut badhiya message hai, Deepak ji.

    ReplyDelete
    Replies
    1. MP Thanks for your heartwarming comments. Sorry for my delayed response. You may like to become a member of this blog, budki.blogspot.com as also my another blog on Kashmir budki3dview.wordpress.com

      Delete