Woh Kahani Bhool Ja:وہ کہانی بھول جا
Shayri; شاعری ; Poetry
وہ کہانی بھول جا
وہ جوانی تھی سہانی ، وہ کہانی بھول جا
لگ رہی تھی جاودانی وہ کہانی بھول جا
زیست کا ہر ایک دریا ان دنوں تھا موجزن
تھی کبھی اس میں روانی،وہ کہانی بھول جا
پورنما کا چاند اوپر ، تھی کھڑی وہ بام پر
اف !مہکتی رات رانی ، وہ کہانی بھول جا
پڑ رہی تھی ماہ نو کی ہلکی ہلکی چاندنی
ہو رہی تھی گلفشانی ، وہ کہانی بھول جا
مے بھی تھی،مینا بھی تھی،ساقی بھی تھا،ساغربھی تھا
موجزن تھی زندگانی ، وہ کہانی بھول جا
جب کبھی بھی مسکراتی ، پھول برساتی تھی وہ
اور پھر وہ بدگمانی، وہ کہانی بھول جا
وہ جھجھکنا ، وہ چمٹنا ، وہ لپٹنا یار کا
اب تو لگتی ہے کہانی ، وہ کہانی بھول جا
راہ وہ بھی تک رہی تھی،تھا ہمیں بھی انتظار
فرقت شب کی گرانی، وہ کہانی بھول جا
ہوں خزاں کا شجر میں ، گل نہیں پتے نہیں
آہ بلاے ناگہانی ، وو کہانی بھول جا
Woh Kahani Bhool Ja
Woh jawani thi suhani , woh kahani bhool ja
Lag rahi thi javidani,woh kahani bhool ja.
Zeest ka har aik darya un dinon tha maujzan
Zeest ka har aik darya un dinon tha maujzan
Thi kabhi us mein ravani,woh kahani bhool ja.
Purnima ka chand upar , thi khadi woh baam par
Purnima ka chand upar , thi khadi woh baam par
Uf ! Mehkti raat raani,woh kahani bhool ja.
Parh rahi thi mah-e -nau ki halki halki chandni
Parh rahi thi mah-e -nau ki halki halki chandni
Ho rahi thi gulfashani, woh kahani bhool ja.
Mai bhi thi,meena bhi thi, Saqi bhi tha,Sagar bhi tha
Mai bhi thi,meena bhi thi, Saqi bhi tha,Sagar bhi tha
Maujzan thi zindgani ,woh kahani bhool ja.
Jab kabhi bhi muskarati, phool barsati thi woh
Jab kabhi bhi muskarati, phool barsati thi woh
Aur phir woh badghumani,woh kahani bhool ja.
Woh jhijhkna, woh chimatna, woh liptna yaar ka
Woh jhijhkna, woh chimatna, woh liptna yaar ka
Ab to lagti hai kahani ,woh kahani bhool ja.
Rah woh bhi tak rahi thi, tha hamein bhi intezar
Rah woh bhi tak rahi thi, tha hamein bhi intezar
Furqat-e-shab ki girani, woh kahani bhool ja.
Hoon khizan ka shajr main, gul nahin patte nahi
Hoon khizan ka shajr main, gul nahin patte nahi
Ah bala-e-naghani, woh kahani bhool ja.
Alfaz ko jis andaz se tehreer ki ladiyon main aapne piroya hai uski satayish kiye bina nahi raha ja sakta.Bahut umdah!!!
ReplyDeletevijay budki A belated reply. Any way thanks for the encouraging comments.
DeleteOne who comes to this world should give his contribution so that people would know and remember him for ever. His contribution to this world can make a change. Gandiji gave his contribution, but still his aatma may be thinking that his has done nothing. Sachin has created history in cricket but still he says it is nothing. Sir your contribution can not be neglected also.It is a fact that there is a limited time in the life where he can work because one is energetic for that specified period. This poem has been beautifully written to understand that there is importance of today......... thanks sir
ReplyDeleteAJAY Thanks for your thoughtful comments. Plz become member of my both blogs if you so like to receive my posts automatically. budki.blogspot.com ,and, budkis3dview.wordpress.com
Delete