Muthi Bhar Ret & Sawaal: مٹھی بھر ریت اور سوال
Muthi Bhar Ret
Kal mujhe na jaane kya soojhi ki samander ke saahil par tahalte tahlte achanak ruk gaya. Joote Utare aur wahin par baith gaya.
Nikhat ki bahut yaad aa rahi thi. Umar bhar saath nibhane ka waada karke woh na jaane kahan kho gayi. Palat kar bhi nahi dekha. Aur ab main hoon aur meri tanhai.
Tafreehan main ne kai baar apne hath mein ret uthai aur usse mehfooz karne ke liye muthi band kar li. Lekin ret thi ki ungliyon ke beech mein se phisalti chali gayi aur bar bar meri muthi khali hoti gayi.
Mere peeche chand ghairmulki sayah apne uryan jasmon mein sooraj ki tawanayi qaid karne ki koshish kar rahe the jab ki saamne chote chote bache football khelne mein mashgool the. Samander ki maujen musalsal sahil ke sath sar patak rahi thein.
Itne mein aik choti si masoom ladki bheek mangne ki khatir mere samne khadi ho gayi aur apne hath phailane lagi. Main jhallahat mein us par baras padha," Jao yahan se, tum aur koi kam kyun nahi karti. Tum logon ko bheek mangne ke siwa aur kuch nahi aata hai."
Dafa'atan mujhe yaad aya ki company mein chhatai ki wajah se guzashta do saal se main khud bhi berozgar hoon. Postgraduate hone ke bawajood koi kaam nahi milta. Nikhat bhi isi wajah se mujhe chor kar chali gayi thi.
Mujhe aisa laga jaise woh ladki keh rahi ho, "Kaam nahi milta hai na mile, bheek to maang sakte ho."
******
(Tafreehan;Just for leisure, mehfooz; secure, ghairmulki sayah; foreign tourists,Uryan ;naked, tawanayi;energy,mashgool; busy,jhallaht; annoyance, dafa'atan;Suddenly)
(Tafreehan;Just for leisure, mehfooz; secure, ghairmulki sayah; foreign tourists,Uryan ;naked, tawanayi;energy,mashgool; busy,jhallaht; annoyance, dafa'atan;Suddenly)
Sawaal
Train mein safar ke dauran aik musaafir doosre musaafir ko yeh samjha raha tha ki nafarmani ke sabab Adam ko bahisht se nikala gaya tha.
Apni dharti se ukhdi hui, diabetes se murjhayi hui, aik Kashmiri Panditani, jo apni umar se kahin zyada boodhi lag rahi thi, apne pati Naath ji se bar bar aik hi sawaal pooch rahi thi,
"Mana Adam se Gunah sarzad hua tha lekin hum kis gunah ki paadash mein apni jannat se mehroom kar diye gaye."
******
(bahisht;paradise, nafarmaani;disobedience, mehroom; thrown out of)
(bahisht;paradise, nafarmaani;disobedience, mehroom; thrown out of)
بہت خوب جناب دیپک بدکی صاحب دونوں ہی تخلیقات بہت ہی خوبصورت، سبق آموز اور گہرے تفکر و تدبر کی غماز ہیں
ReplyDeleteآپ نے نہایت مختصر الفاظ بہت موثر پیغامات دیئے ہیں
آپ کے قلم کی روانی اور فکر کی پختگی آپ کی کامیابی کی ضمانت ہے
Asrar Ahmad Razi اسرار صاحب - آداب آپ کے تاثرات پڑھ کر خوشی ہوئی- تاخیر سے جواب دینے کے لئے معذرت خواہ ہوں- میرے دو بلوگ ہیں ہو سکے تو دونوں کا ملاحظہ کیجئے اور ممبر بنے-
Deletebudki.blogspot.com , and, budkis3dview.wordpress.com
You have such a wonderful way of expressing your ideas!
ReplyDeleteHuma Ahmar Thanks for your comments. sorry for delayed response.
Deleteبہت اچھے بدکی صاحب، پہلے بھی نظر سے گزرے ہیں آپ کے یہ افسانچے ، پہلا افسانچہ تو بہت ہی عمدہ ہے آپ کے انداز اور اسلوب کا نمائندہ ہے اور گہری چوٹ لگاتا ہے، دوسرے میں تھوڑی احتیاط پسندی لگی مجھے مطلب تھیم میں کچھ تشنگی سی چھوٹ گئی شاید، وادی کی حالت تو اس سے بہت زیادہ کا تقاضا کرتی ہے چاہے پنڈتانی ہو یا مولویانی۔ دعاؤں میں یاد رکھیے گا حالانکہ آپ نے مجھے بتایا تھا کہ آپ دعا نہیں کرتے۔
ReplyDelete-قمر سبزواری صاحب - آداب آپ کے تاثرات پڑھ کر خوشی ہوئی - جواب تاخیر سے دے رہا ہوں جس کے لئے معذرت خواہ ہوں- کبھی کبھی زندگی د عا کرنے کے لئے مجبور کرتی ہے
DeleteThis comment has been removed by the author.
ReplyDeleteبہت خوب بہت خوب، جناب سوال کا جواب بھی بتاتے چلئی۔ بلال بشیربٹ
ReplyDeleteOnly Kashmir بلال بشیر بھٹ صاحب - آداب ! تاثرات کے لئے شکریہ - جواب تاخیر سے دے رہا ہوں جس کے لئے معذرت خواہ ہوں - جہاں تک سوال کے جواب کا تعلق ہے اس کو ڈھونڈھنا قاری کا کام ہے-
Delete