Harjeet & Mazdoor Rickshaw:
ہار جیت اور مزدور رکشہ
Afsanche; افسانچے ; Mini-Stories
Haar Jeet
Devyani aik aik karke zeene uttar rahi thi aur man hi man mein soch rahi thi,"Saala sochta hoga koi bahut barha ma'arika tai kar liya. Aik aurat ko teen hazar ke ewaz raat bhar ke liye khareed liya." Us ne condom ke wrapper ko bag se nikal kar door koode daan mein, jis par 'use me' likha hua tha, phaink diya."Apni biwi do char sau bhi maang le to saale ko blood pressure charhta hoga."
"Bahut nakhre dikha rahi thi saali. Keh rahi thi paanch hazar se aik payi bhi kum na loongi aur woh bhi do ghante ke liye. Ab dekho mainne usse poori raat apne paas rakha aur woh bhi sirf teen hazar mein." Paresh Nath khirki se bahar us par nazar rakhe hue tha.
Donon apni apni jagah khush the. Idhar Devyani ka beta hospital mein parha maan ka intezar kar raha tha ki kab woh aaye aur us ka operation ho.Udhar Paresh Nath ki biwi aik Gigolo ke sahare apni piyas mita rahi thi aur chahati thi ki us ka pati jaldi ghar na aa sake.
*********
(zeene-steps,ma'arika-mission)
Mazdoor Rickshaw
Mussorie ke Maal road par main ne pehli baar mazdoor ko rickshaw khainchte hue dekha. Phati purani qameez aur pyjama pehne woh ghode ki tarah rickshe ke saath juta hua tha. Dil mein barhi koft hui. Is liye us ke bulane par bhi main ne usse nazar andaz kar liya.
Phir daroon ne ehtijaj kiya,"Tum ne us ki rozi roti cheen li. Berozgari ke aalam mein us ke paas aur bhi to koi chara nahi hai. Hul chalane wala kissan bhi sooraj ki tamazat se bekhabar tumhare liye anaj paida karta hai. Us ka badan bhi paseene se tarbatar rehta hai. Woh bhi is mazdoor ki tarah maflookulhaal hota hai.Agar tum uski haalat dekho ge to kya tum khana peena chod do ge."
Main wapas murha , mazdoor rickshe wale par bharpoor nazar daudayi aur phir rickshe par baith gaya. Mazdoor rickshe ko mamool ki tarah haankne laga.
***********
(koft-pain,daroon-inside/heart,tamazat-scorching heat,maflookulhaal-poor/in bad condition
mukhtaser magar jandar...zaheer javed
ReplyDeletePakistan Bachao Forum ظہیر جاوید صاحب ! آداب! آپ کے تاثرات حوصلہ بخش ہیں- امید ہے آیندہ بھی آپ میرے بلوگ کا مطالعہ کرتے رہیں گے- تاخیر سے جواب دینے کے لئے معذرت خواہ ہوں-
DeleteEvery experienced traveler has some sort to tell the story of a rickshaw. Rickshaw taxi exaggerated enough for most people, especially if the speed of the driver's nose hair or certain details of the decoration of which he cleared the corner! Now imagine, if you truly have a story of a rickshaw driver.
ReplyDeleteRickshaw
chief gabril Thank u for ur comments. sorry for the belated reply. Am reminded of a shair from Ghalib;
DeleteBazeechaye atifal hai duniya mere aage;
Hota hai shabo roz tamasha mere aage.