Wednesday, July 25, 2012

Ay Mere Bhisham Pitamah, اے میرے بھیشم پتامہ : (Urdu/English); Shayri; Poetry; نظم

Ay Mere Bhisham Pitamah


اے میرے بھیشم پتامہ (Urdu/English)


Shayri; Poetry;نظم 


Tum ne mujh se kyun yeh poocha,
Mera Kishley* kahan hai?
Mujh ko tab se neend na aayi, 
Karwat karwat badal raha hoon,
Dil be chain hai,ankhein pur num,
Fiza bhi hai bhari bhari;
Kahan kahan na dhoondha us ko,
Galiyon galiyon basti basti,
Sehra jungle mandir masjid,
Gujrat ki bakery mein bhi jhanka,
Shayad jal kar raakh hua ho;
Ya phir Masjid ke gumband par,
Babar ko lalkar raha ho;
Kabul aur Qandhar main pahuncha,
Hosakta Yargamal hua ho;
Kargil pahuncha Drass main pahuncha,
Taboot mein shayad mara padha ho;
Phir ja kar kashmir mein dhoondha,
Be katba Qabron mein daba ho;
Lahore ki bus mein dhoondha,shayad,
Aman ka parcham le ke khada ho;
Haath abhi tak kuch bhi na aaya,
Aas magar phir bhi hai baaqi.
Phir ik din yun soch raha tha,
Kursi par tum bhi the baithe,
Panch saal kuch kum nahin hote;
Kitne Kishle apharan hue the,
Kitnon ki li gayi  supari,
Kitnon ka yun laho baha tha;
Tum us waqt bus dekh rahe the,
Bebus aur lachaar khade the,
Bhisham Pitamah khade ho jaise;
Wohi tha manzar , log wohi the,
Cheer haran ho raha tha jis ka,
Us ko Ghaur se dekha main ne,
Shayad Draupadi naam tha us ka.
___________________________________________________________________________________-
*Kishle was the name of the boy who was abducted in Bihar and Vajpayee had cried out in Patna, Where is my Kishle?





2 comments:

  1. Replies
    1. Thanks IT Solution. Roman script has often been used to write other languages for ease. Infact many protagonists of Urdu wanted to render urdu in roman or Devnagri script so that others also benefit. Kamal AtaTurk adopted Roman script for Turkish language long back.

      Delete