Umda Budki sahib, achi akkasi hey wadi kay karabnak or khoonin manzar ki. mujey aik shdeed hasrat hey kay bkhi mein wadi ki dukh bhri kahani ka doosra rukh bhi kisi ki threer mein dekhoon, kbhi kisi jabri banaye gaye aatank waadi kay naqab kay peechey chupey huey aansoo bhi koi likhey, kbhi kaheen yah bhi parhney ko mil jaye kay ksi tarah apney gharon mein hanstey khailtey logon per laakhon foji musalat honey kay baad zindgi apni tanziya hansi hansti hey, apney hi watan mein bey watan kar diye janey waley log kia mehsoos kartey hein....anyways....good luck.
Qamar Sabzwari. Meri ek kahani 'Ek Nihate Makan ka Rape' Shair Mumbai mein us waqt chapi thi jab Gujarat ki hawa firqawarana fasadat se mukaddar ho chuki thi aur main khud Baroda mein tayenaat tha.Ek Qari ne likha tha ki "Budki ne Gujarat mein hue musslamanon par zulm-o-sitam par parda dhalne ke liye yeh afsana likha hai"Shair mein mera jawab kuch yun tha."Mere afsane mein jo baatein Kashmir ke hawale se likhein gayi hain woh mujh par ya meri baradri par guzri hain aur main ne ba hessiyat mafuool ke un ko shiddat se mehsoos kiya hai. Gujarat mein jo hua, Mere ghar se 2 km ki doori par hua aur main na un mein shamil tha jinhon ne woh ghair insani fael kiya aur na hi un mein shamil tha jin par woh sab kuch guzra.Is liye us mahaul aur un kirdaron ko pesh karna mere liye mushkil hai.Haan aap khud likhye aur un par khoob likhye. Main tab ta'asub ka murtakib hoonga agar main aap ke likhe ko ghalat kahoon ya us ko 'figment of imagination' kahoon.Itna kehna zaroori samajhta hoon ki main Kashmir ka bashinda hoon aur 1990 tak kashmir mein pyar o khaloos ke saath reh raha tha, magar ghair yaqeeni haalaat ke sabab main hi kya Sare Kashmiri Pandit wahan se hijrat kar gaye. Us waqt tak kya hua main ne qalam band kiya hai, Us ke baad kya hua,us ka mujhe first hand ilm nahi hai,balki sirf wohi khabrein hain jo Indian aur Pakistani media mujh tak punhchate hain aur dono mein qutbein ka farq hota hai.Albata agar aap Kashmir ke muatbar qalmkaron eg Noor Shah, Umar Majeed(Marhoom),Zinfer Khokhar waghaira ka mutala'a karein ge to shayad aap ko tasweer ka doosra rukh bhi mil jaye ga. Main ne in teenon ki kahaniyon par tabsere tehreer kiye hain.Itna kehna zaroori samajhta hoon ki Kashmiri Crisis ke asbab ko pesh karna ya unka tajaziya karna ek afsana nigar ka kaam nahi hai balki political analyst ka kaam hai.
Qabil-e-ehtaraam Deepak Budki saheb ! aadaab baja lata hun, !!
aapki 1 aur behtareen kahaani REZA REZA HAYAAT parhne ka sharf hasil hua, kashmir k haalaat ki behtareen akkaasi farmaai hai aap ne is kahaani k zariye, ye sach baat hai k mushaaheda aur tajurba kahaani ko haqeeqi tawaanaaii ata karta hai jo aapki is kahaani k manzar-naame me poori tarah mehsoos hoti hai. ek umda kahaani k liye aapko na-cheez qalbi mubaarakbaad pesh karta hai. khadim-e-urdu :.....,....FIDA
Qabil-e-ehtaraam Budki saheb ! aadaab baja lata hun........!! aap ki ek aur behtareen kahaani REZA-REZA HAYAAT parhne ka mauqa mila, kahaani ne behad muta'assir kiya, LALA KARAM CHAND k kirdaar k tawassut se aap ne waadi k haalaat ko bahut umda tareeqe se pesh kiya hai. ye sach hai k mushaaheda aur tajurba kahaani ko us ki haqeeqi fiza se roo-shanaas karata hai, jis ko aapki is kahaani me saaf taur se mehsoos kiya ja sakta hai, aur mere khayaal me yahi kaamyaab fiction ki zaamin bhi hai. itni umda kahaani par aapko qalbi mubaarakbaad pesh karta hun. share karne k liye mashkoor hun. ............FIDA
Waseem Ahmad Fida Sb; Aap ke tasurat parh kar bahut khushi hui. Aik adeeb ki zindagi ka maqsad hi yeh hota hai ki insaani kotahiyon ko benaqaab karle aur aadmi ko insaan banane ki koshish kare. Mukamal taur par mumkin to nahi hai, magar thodi bahut hi kamiyabi mile to bahut hai. Nek khwahishat ke saath, deepak.
Umda Budki sahib, achi akkasi hey wadi kay karabnak or khoonin manzar ki. mujey aik shdeed hasrat hey kay bkhi mein wadi ki dukh bhri kahani ka doosra rukh bhi kisi ki threer mein dekhoon, kbhi kisi jabri banaye gaye aatank waadi kay naqab kay peechey chupey huey aansoo bhi koi likhey, kbhi kaheen yah bhi parhney ko mil jaye kay ksi tarah apney gharon mein hanstey khailtey logon per laakhon foji musalat honey kay baad zindgi apni tanziya hansi hansti hey, apney hi watan mein bey watan kar diye janey waley log kia mehsoos kartey hein....anyways....good luck.
ReplyDeleteQamar Sabzwari. Meri ek kahani 'Ek Nihate Makan ka Rape' Shair Mumbai mein us waqt chapi thi jab Gujarat ki hawa firqawarana fasadat se mukaddar ho chuki thi aur main khud Baroda mein tayenaat tha.Ek Qari ne likha tha ki "Budki ne Gujarat mein hue musslamanon par zulm-o-sitam par parda dhalne ke liye yeh afsana likha hai"Shair mein mera jawab kuch yun tha."Mere afsane mein jo baatein Kashmir ke hawale se likhein gayi hain woh mujh par ya meri baradri par guzri hain aur main ne ba hessiyat mafuool ke un ko shiddat se mehsoos kiya hai. Gujarat mein jo hua, Mere ghar se 2 km ki doori par hua aur main na un mein shamil tha jinhon ne woh ghair insani fael kiya aur na hi un mein shamil tha jin par woh sab kuch guzra.Is liye us mahaul aur un kirdaron ko pesh karna mere liye mushkil hai.Haan aap khud likhye aur un par khoob likhye. Main tab ta'asub ka murtakib hoonga agar main aap ke likhe ko ghalat kahoon ya us ko 'figment of imagination' kahoon.Itna kehna zaroori samajhta hoon ki main Kashmir ka bashinda hoon aur 1990 tak kashmir mein pyar o khaloos ke saath reh raha tha, magar ghair yaqeeni haalaat ke sabab main hi kya Sare Kashmiri Pandit wahan se hijrat kar gaye. Us waqt tak kya hua main ne qalam band kiya hai, Us ke baad kya hua,us ka mujhe first hand ilm nahi hai,balki sirf wohi khabrein hain jo Indian aur Pakistani media mujh tak punhchate hain aur dono mein qutbein ka farq hota hai.Albata agar aap Kashmir ke muatbar qalmkaron eg Noor Shah, Umar Majeed(Marhoom),Zinfer Khokhar waghaira ka mutala'a karein ge to shayad aap ko tasweer ka doosra rukh bhi mil jaye ga. Main ne in teenon ki kahaniyon par tabsere tehreer kiye hain.Itna kehna zaroori samajhta hoon ki Kashmiri Crisis ke asbab ko pesh karna ya unka tajaziya karna ek afsana nigar ka kaam nahi hai balki political analyst ka kaam hai.
DeleteQabil-e-ehtaraam Deepak Budki saheb !
ReplyDeleteaadaab baja lata hun, !!
aapki 1 aur behtareen kahaani REZA REZA HAYAAT parhne ka sharf hasil hua, kashmir k haalaat ki behtareen akkaasi farmaai hai aap ne is kahaani k zariye,
ye sach baat hai k mushaaheda aur tajurba kahaani ko haqeeqi tawaanaaii ata karta hai jo aapki is kahaani k manzar-naame me poori tarah mehsoos hoti hai.
ek umda kahaani k liye aapko na-cheez qalbi mubaarakbaad pesh karta hai.
khadim-e-urdu :.....,....FIDA
Shukriya Waseem Ahmad Fida Sb Aap ka comment spam file mein chala gaya tha. Aaj hi pata chala.Comments ke liye bahut bahut shukriya.
Deleteآپ واقعی اچھی کہانیاں لکھتے ہیں،آپ کی کہانیوں میں قاری گُم ہوتا چلا جاتا ہے۔
ReplyDeletearshad neyaz sb Tasurat ke liye bahut shukar guzar hoon.Bus aap ki duwayein saath hoon.nek khwahishat ke saath, deepak
DeleteQabil-e-ehtaraam Budki saheb !
ReplyDeleteaadaab baja lata hun........!!
aap ki ek aur behtareen kahaani REZA-REZA HAYAAT parhne ka mauqa mila, kahaani ne behad muta'assir kiya,
LALA KARAM CHAND k kirdaar k tawassut se aap ne waadi k haalaat ko bahut umda tareeqe se pesh kiya hai.
ye sach hai k mushaaheda aur tajurba kahaani ko us ki haqeeqi fiza se roo-shanaas karata hai, jis ko aapki is kahaani me saaf taur se mehsoos kiya ja sakta hai, aur mere khayaal me yahi kaamyaab fiction ki zaamin bhi hai.
itni umda kahaani par aapko qalbi mubaarakbaad pesh karta hun.
share karne k liye mashkoor hun.
............FIDA
Waseem Ahmad Fida Sb; Aap ke tasurat parh kar bahut khushi hui. Aik adeeb ki zindagi ka maqsad hi yeh hota hai ki insaani kotahiyon ko benaqaab karle aur aadmi ko insaan banane ki koshish kare. Mukamal taur par mumkin to nahi hai, magar thodi bahut hi kamiyabi mile to bahut hai.
DeleteNek khwahishat ke saath, deepak.