Friday, January 20, 2012

Shanakht, شناخت : (Urdu/English); Afsancha; افسانچہ ; Ministory

 Shanakht،شناخت :(Urdu/English)
 Afsancha; افسانچہ ; Ministory

Shanakht
Us ke Pita ji bahut barhe film adaakar the.Kayi doston ne usse mashwara diya ki woh acting ke baghair aur koi line ikhtiyar karle magar woh na mana. Baap ne bahut koshish ki ki beta bhi usi ki tarah naam kamaye magar aik ke baad aik filmein pit gayi aur woh gumnami ki bhool bhulayun mein bhatakne laga. 

Dheere dheere us ko yeh ehsaas ho gaya ki bargad ke neeche koi aur perh nahi panap sakta magar ab dair ho chuki thi.

Bhala ho Television ka, ab woh reality shows mein judge ka kaam karta hai aur funkaron ki acting, mauseequi aur dance par na sirf apne tasurat pesh karta hai balki in mozooat par barhe barhe lecture bhi deta hai.

(Shanakht-Identity; adaakar-actor; mashwara- suggestion; ikhtiyar kare-adopt; panapna-grow; mauseequi-music; mozooat-subjects) 

























2 comments: