Saturday, March 20, 2021

Muthi Bhar Ret: مٹھی بھر ریت ;मुठी भर रेत ; (Urdu/English); Mini-story;افسانچہ;लघु कहानी



 Muthi Bhar Ret: مٹھی بھر ریت ;मुठी भर रेत 

 Mini-story;افسانچہ;लघु कहानी 

Kal mujhe na jaane kya soojhi ki samander ke saahil par tahalte tahlte achanak ruk gaya. Joote Utare aur wahin par baith gaya
Nikhat ki bahut yaad aa rahi thi. Umar bhar saath nibhane ka waada karke woh na jaane kahan kho gayi. Palat kar bhi nahi dekha. Aur ab main hoon aur meri tanhai.
Tafreehan main ne kai baar apne haath mein rait uthai aur usse mehfooz karne ke liye muthi band kar li. Lekin rait thi ki ungliyon ke beech mein se phisalti chali gayi aur baar baar meri muthi khali hoti gayi.
Mere peeche chand ghair mulki sayah apne uryan jasmon mein sooraj ki tawanayi qaid karne ki koshish kar rahe the jab ki saamne chote chote bache football khelne mein mashgool the. Samander ki maujein musalsal sahil ke saath sar patak rahi thein.
Itne mein aik choti si masoom ladki bheek mangne ki khatir mere saamne khadi ho gayi aur apne haath phailane lagi. Main jhallahat mein us par baras padha," Jao yahan se , tum aur koi kaam kyun nahi karti. Tum logon ko bheek mangne ke siwa aur kuch nahi aata hai."
Dafa'atan mujhe yaad aya ki company mein chatai ki wajah se guzashta do saal se main khud bhi berozgar hoon. Postgraduate hone ke bawajood koi kaam nahi milta. Nikhat bhi isi wajah se mujhe chod kar chali gayi thi.
Mujhe aisa laga jaise woh ladki keh rahi ho, "Kaam nahi milta hai na mile, bheek to maang sakte ho."
(Tafreehan;Just for leisure, mehfooz; secure, ghairmulki sayah; foreign tourists,Uryan ;naked, tawanayi;energy,mashgool; busy,jhallaht; annoyance, dafa'atan;Suddenly



No comments:

Post a Comment