Sunday, March 14, 2021

Sawaal; سوال ; सवाल; Mini-Story; افسانچہ; लघु कहानी

Sawaal; سوال ; सवाल
 Mini-Story; افسانچہ; लघु कहानी 

Sawaal

Train mein safar ke dauraan aik musaafir doosre musaafir ko yeh samjha raha tha ki nafarmaani ke sabab Adam ko bahisht se nikala gaya tha.
Apni dharti se ukhdi hui, diabetes se murjhayi hui, aik Kashmiri Panditani, jo apni umar se kahin zyada boodhi lag rahi thi, apne pati Naath ji se baar baar aik hi sawaal pooch rahi thi,
"Mana Adam se Gunah sarzad hua tha lekin hum kis gunah ki paadash mein apni jannat se mehroom kar diye gaye."
                                                ****
(bahisht;paradise, nafarmaani;disobedience, mehroom; thrown out of)

2 comments: